Aaj hai umar meri chattish (36),
Baara (12) saal pahele milne ki thi khwaaish,
Uss waqt khudse anjaan tha,
Issliye laboo pe sirf tera naam tha.
Tere Intezaar mei na-jaane,
Kitne hassin lamho ko alvida kiya tha,
Apno se ladh-jagad kar,
Teri raho mei chal pada tha.
Saase bhi rukh chuki thi meri,
Tab aaya tha mehfil mei teri,
Ajib sa nasha tha tujh mei,
Par tunne kardi thi bae-waffaie.
Jeene laga tha tujhse bichadkar,
Phir kyon aaj tu laut ke aaya,
Aye Maut jaa mujhe nahi jaana tere saath,
Aaj meine khudko hai pechana.
Khete hai khwaabo mei khwaaish puri hotti hai,
Aye Maut tu bhi ek Khwaab dekhle,
Mein jiss tarah tadpa tha teri liye,
Aaj tu bhi mere liye tadap ke dekhle.
Aye Maut jaa mujhe nahi jaana tere saath,
Aaj tu bhi kissi aur ko apna aashiq bannale...