Total Pageviews

Tuesday, 30 August 2011

Yeh Kaagaz Ke Tukdey

Yeh Kaagaz Ke Tukdey…….

Bachpan ki baatien kuch aur thi,
Bachpan ki yaadien kuch aur thi.

Baarish ke bundoo mei,
Kaagaz ke naav bannnana.
Aur ab
Baarish ke bundoo mei,
Kaagaz ke Tukdey bacchana.

Woh khushiya kuch aur thi,
Yeh jasbaat kuch aur hai.
Woh lamhe kuch aur thae,
Yeh nagme kuch aur hai.

Woh zindagi gujar jati thi,
Hasne hassane mei.
Aur
Yeh waqt gujar jata hai,
Kagaaz ke Tukdey kamane mei.

Na thi koi manzil,
Na tha koi faasla.
Ab toh akele hai hum,
Phir bhi dhoond rahe hai rashta.

Kismat se milta tha dard tabhi,
Aur ab
Kismat se milta hai Dost abhi.

Woh dost hi thae,
Jo dard ko na aane dete thae karib,
Aur
Kaagaz ke Tukdey hi hai,
Jo  tod rahe hai dosto k rishte abhi.

Yeh Kaagaz Ke Tukdey……………………..
                                                                Written By : Vishal Ashara.

4 comments: