Total Pageviews
Friday, 30 September 2011
Vishal Ashara: " MERI RUH "
Vishal Ashara: " MERI RUH ": Shav ko yeh sab, Chu rahe thae. Najaane kyu yeh, Kuch kahe rahe thae. Aankhe bhi bandh hogayi thi, Najaane ky...
" MERI RUH "
Shav ko yeh sab,
Chu rahe thae.
Najaane kyu yeh,
Kuch kahe rahe thae.
Aankhe bhi bandh hogayi thi,
Najaane kyu sabhi dikh rahe thae.
Palke bhi unki juki thi,
Aankho ki baarish bhi na tham rahi thi.
Chup karana chahta tha unhe,
Par awaz na sunn raha tha koi.
Phir logoo ne RAM ka naam liya,
Najaane kyu azad hawa mei udhne laga.
Phir palat ke niche dekha,
Safhed chaddar mei lipta huwa,
Char kandho pe kahi jaa raha tha.
Yeh dekh kar mein ghabra gaya,
Najaane kyu Zindagi ne mujhko haraa diya.
Na dard huwa na eshaas huwa,
Najaane kyu mein khud se dur hogaya.
Mere alfaz bhi ab tutne lage,
Najaane kyu mere shabd khamosh hone lage.
Jal raha hu ab uss aag mei,
Jaha mere sapney pighal ne lage.
Ab na lagta hai dar mujhe,
Kyuki kuch waqt mei raakh ban ja-unga.
Ab sannate hi hoge mere saathi,
Kyuki sagaroo mei kahi kho ja-unga.
Sunday, 4 September 2011
Happy Teachers Day
Dedicated to all Ma Teachers.
Waqt ke aadhure panno mei,
Jod diya un purane lamho ko.
Hassi laut ke aagayie hoto pe,
Jab yaad kiya purane kisso ko.
Dard kya aur Khushiya kya,
Hume kuch na pata tha.
Par
Woh hi thae jinno-hane, Zindagi ka matlab samjaya tha.
Hum toh khel kud mei dube rahete thae,
Par
Woh hi thae jinno-hane,
kitabo se pyaar karna sikhaya tha.
Bure aur acche ki phecchan na thi,
Par
Woh hi thae jinno-hane,
Hume ek accha insaan banaya.
Kuch galti bhi hoti thi agar
toh
Uss daat mei bhi pyaar chhalkta tha.
Pareshan bhi jo karte thae unhe,
Phir bhi unke duwa mei humara naam hota tha.
There are many words to say but it will never end.But i want to say them Thanx.
& to say
"Happy Teachers Day" to all Ma Teachers.......
Written by : Vishal Ashara.
Waqt ke aadhure panno mei,
Jod diya un purane lamho ko.
Hassi laut ke aagayie hoto pe,
Jab yaad kiya purane kisso ko.
Dard kya aur Khushiya kya,
Hume kuch na pata tha.
Par
Woh hi thae jinno-hane, Zindagi ka matlab samjaya tha.
Hum toh khel kud mei dube rahete thae,
Par
Woh hi thae jinno-hane,
kitabo se pyaar karna sikhaya tha.
Bure aur acche ki phecchan na thi,
Par
Woh hi thae jinno-hane,
Hume ek accha insaan banaya.
Kuch galti bhi hoti thi agar
toh
Uss daat mei bhi pyaar chhalkta tha.
Pareshan bhi jo karte thae unhe,
Phir bhi unke duwa mei humara naam hota tha.
There are many words to say but it will never end.But i want to say them Thanx.
& to say
"Happy Teachers Day" to all Ma Teachers.......
Written by : Vishal Ashara.
Subscribe to:
Posts (Atom)