Total Pageviews

Friday, 2 December 2011

“ MEIN HI KYUN “



Har ghar, har aangan mei,
Pechchaan karaye meri,
Kabhi kare baatein mujshe,
Toh kabhi jataaein naraz-gi.

Kuch galat hojayie toh,
Kasam khaye meri.
Dil agar tutte toh,
Sawaal kare mujhse hi.

Kabhi Rishto mei darrarein aaye,
Toh
Kabhi mujhse ruth jaaye.
Zindagi ko massum samjhe,
Aur
Khud nadaan ban jaaye.

Dard bhari aankho se dekhe mujhe,
Aur
Na jaane kya-kya keh jaaye.
Bure kaam karo tum,
Aur
Mujpe ilzaam lagate jaaye.

Andaaz hai har kissi ka alag,
Par
Puchna chahu har kissi se yeh.
Zindagi ji rahe ho tum,
Par
MEIN HI KYUN yaad aau tumhe.

MEIN HI KYUN………………………………………

No comments:

Post a Comment