Hai mere Dau (2) Bacche,
Jo Mujhse pyaar karte hai.
Haath thaam ke dekhi duniya saari,
Ab baari meri hai.
Waqt kitna bhi badal jaaye,
Phir wahi dhou-rana hai.
Phir laut aya unnka bacchpan,
Ab mujhe unn hai samhaalna hai.
Dard mei bhi sikhaya pyaar se,
Rishto ki kya ahemyat (Importance) hoti hai.
Itne saal tak sirf mann-mani ki,
Ab unnke liye jeena hai.
Rehti hai baatein yaad purani,
Sirf kuch pal pahele ki baat bhul jaate hai.
Hissab rakhte hai har ek paise ka,
Sirf kal kya khaaya bhul jaate hai.
Yeh dekh ke mein heraan nahi,
Bas sadiyo se chali aaie hai.
Khete hai 60 saal umar ke baad,
Bas yahi sab ki kahani hai.
Hai mere woh Maata-Peeta,
Jinnhe bhagwaan ka darja diya.
Kal tak jo mera khayaal rakhte thae,
Aaj baari meri hai.
Hai mere Dau (2) Bacche,
Jo mujhse pyaar karte hai............
When they will be 60, May they behave like kids,
Just wanna to say those People that don't throw outside the house....
Coz.., Your Parents is Your Original Treasure, Who has given you the power to survive in this World....
" Care for them & Love them as they had done till yet....
Thanx To All who read ma Poems !!
Love U All & God Bless U All !!
No comments:
Post a Comment