Total Pageviews

Thursday, 28 May 2015

Ek Din

Mein aur meri kahani
Kasma kash mei dubi thi zindagani
Dard khushiyo ki zubani
Yaadien kar rahi thi usski gulami.

Naa manzil ki khabar rahi
Naa milne ki shiddat rahi
Tadapti ruh meri
Khamoshi mei kho gaie.

Ajnabee aankhe dekhti hai kabhi
Palke jukake aasuoo mei kahi
Nazar aajaye andhero mei kabhi
Khoj ta hu akele mei wahi.

Hawaa ne rukh badal hai diya
Tanhaieyo ne saath chod diya
Silsila badal hai gaya
Chunna meine khwaab naya.

Panne palte rahenge
Sapaney usske pighlenge
Khudko manna toh liya
Par woh khudse Ek Din ruthegi.

Maafi ke woh laik nahi
Ek Din woh bhi tadapegi
Mushkil hojaayega rehna usska
Tab usse iss din ki yaad sataayegi.

Ek Din Woh bhi......

1 comment: