Total Pageviews

Saturday, 14 April 2012

Adhuri Kahani

 
Sarhaddo(Border) pe woh raheta hai,
Desh ke liye woh ladhta hai.
Shaheed hone ke baad bhi,
Na-Jaane keetno ko khushiya de jaata hai.

Tiranga mei leepta huwa,
Ghar jab woh laya jaata hai,
Aankhe num hoote huve bhi,
Ghar waalo ka Maan badh jaata hai.

Uss Peeta(Father) ka haal bhi
Kuch aisa hota hoga,
Seena Taane woh bhi
kheta hoga,
" Zindagi ka har waqt chakha(Taste) hai meine,
Aaj yeh ghum bhi khushi se pee jaa-unga ".

Uss Maa ka haal bhi
kya hota hoga,
Jab Ek Baetta(Son) Shaheed,
Aur
Dusra Fouj(Army) mei bharti hota hoga.

Ruathae(Crying) huve usski Patni bhi
Kheti hogi,
Kal jab Baetta(Son) Bada hojayega,
Aap ke tarah Desh ke liye
Woh bhi kuch kar jaayega.

Na-Jaane keetno ne,
Di hai Kurbaani.
Par yeh Sach hai
Reh jaati hai unnki,
Adhuri Kahani..............

A Great Salute To All Fighters Who Die For Our Nation ........!!

No comments:

Post a Comment