Total Pageviews

Monday, 2 April 2012

Sapney............ (Few Words From A Blind Person)



Kuch Sapney hotte hai,
Khudko khush rakhne ke liye.
Mein Sapney dekhta hu,
Yeh zindagi jeene ke liye.

Kabhi Sangeet se banne hotte hai,
Toh
Kabhi Khushboo se banne hotte hai.
Na dekhi meine Roshni kabhi,
Isliye
Mere Sapney aandhero (Darkness) mei hotte hai.

Khubsurat aandhekhi aur aankahi ho sakti thi,
Par
Apno ke Shabdo ne jeeneki umang dedi thi.
Na dekh sakta tha unnke chhero ko kabhi,
Par
Woh Eshsaas hei hai jo joode rakhte thae unnse kahi.

Mere liye na din hai,
Na koie raat.
Mein toh jee leta hu,
Apne jasbaato ke saath.

Meri aankhe na padh (Read) sakta hai koie,
Meri baatein na samja hai koie.
Phir bhi mujhe aitbaar hai meri Umeedo pe,
Isliye mein zindagi se naraaz nahi.

Khud se aur Khuda se,
Har pal kehta hu yahi.
Intezaar hai uss din ka mujhe,
Khud ko aur Khuda ko Dekhunga iss nazroo se kabhi.........


Yeh Mere  " Sapney "

No comments:

Post a Comment